- Hum pyar ke bhooke hai hume pyar kijiye
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiyeKabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanamAapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar iseKitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaunMujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiyeZara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge humJo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai mainePhir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohratHum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye.
- Mohabbat k baad bhi
Main usay kaise aikaila chor don is rah mainsath jo chalta raha majboriyon k baad bhi.
ban k khusboo rach gya hy yun mere ehsas maindoor ho paya nahi woh dooriyon k bad bhi
rafta rafta us ko bhi ye duniya ra’as aa gyemuskra k woh mila hy ranjishon k bad bhi
fasly kb kum howay hain rabton k bad bhiajnabi thay ajnabi hain “mohabbaton” k baad bhi.
- Barishon k mausam main
Yaadai’n jaag jati hynBarisho’n k mausam main
Har ghari satati hynBarisho’n k mausam main
Shaambhi kisi suratChain se nahi kat’ti
Subhai’n bhi satati hynBarisho’n k mausam main
Zehen k jharokey mainJab koi sada ubhrey
Aankhai’n bheeg jati hynBaarisho’n k mausam main.
- Sab kuch milta hai is jahan main saquib
Sab kuch milta hai is jahan mein SaquibNahin milta to guzra hoa pal nahin milta
Kartey rahe’n ge younhi sairab zameene’nIn aansoo’n ko ab koi aanchal nahin milta
Ghurbat mein mayyasar kahan khushion ki dilbariSehra mein kisi ko kabhi baadal nahin milta
Kahney ko gham khowar-o-chara saaz hain bohatAmlann kisi ke saath koi shamil nahin milta
Ham imaan ki dolat liye shahadat ke muntazirHamari safo’n mein koi buzdil nahin milta.
- Sadio se jaagi aankho ko..
Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jaoMana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao
Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahayKya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao
Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahayMeri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao.
No comments:
Post a Comment